Friday, September 10, 2010

EK PAVITRA KANYA KI AGNI PARIKSHA JALD HI AAPKE TV SCREEN PAR..

EK PAVITRA KANYA KI AGNI PARIKSHA JALD HI AAPKE TV SCREEN PAR..

Sometime in this rainy season, I got a call for writing lyrics for a tiltle song of a show on a Hindi GEC channel. I came home. My name was recommended by a succesfull musician. I had done 2 songs with him. But this one I could not write.

I offer my sincere apologies to the production house, channel and the music director. I just could not write it. What i wrote is here? A simple poem..

APAVITRA KANYA
Bitte bhar ki zindagi mein...
2 waqt ki roti ke liye...
Kiske taluve chaate...
Kis kis ke haath jodein..
Bhaai tumne kal ki baasi roti mein..
Koi naye geet bhi hain jode?
...
18.. 20... saal ki kanya..
Suna gayee humein ek kahani...
Kalkatta ki ganga mein..
Apavitra bhyaee jawanee..
...
Kah ke gayee bachchee...
“Yeh pratha hai is gaanv mein.
Apavitra bhayee jo kanyaa..
Dubee uski naiya..”
...
Hum kahe bitiya..
Tohar umaar ka hai..?
Aur ganga ki umar ka hai?
Tu bech rahi hai jisko..
Us kahani ki umar ka hai?
--
Bhaiya, hum kahe..
Ee geet hum se na likhwaao..
10 20 hajaar ke liye..
Hum ko itna naach mat nachaao.
Gaanv ki jin bechariyon ne
Do chaar saansein abhi abhi li hain.
Unko phir tumharee chaakki mein ‘
Mat piswaao bitiya.
...
...
Ka he ke je kahani sunane ke baad
Tum toh nikal jaaogi doston ke saath
Shaturday ka week end karne
Sasuri ganga bechari baarish
Meein fugati firti rahegi..
Har saal ki tarah is saal bhi
Kum se kum do chaar gaanv toh duboyegi.

Tohar channel ko mil jaaiye TRP
Sasuree kahin kat gayee koi bitiya
Toh anarth ho jaiye bhaiya.
Thank u very much bitiya.

No comments:

Post a Comment