Tuesday, August 31, 2010

KAL KI TASWEERON MEIN

Taweerein hon yaadon ki
Buss tasweeron mein hum na ho..
Chadaron ki salwatein hon..
Badlee hui katrwatein hon...
Ankahi baatein rakhin hoh
Sirhaane...
Takiye par alsaye sapne hon.
Subah jo ho
Toh tasweer mein bus suraj hi ho..
Raat ki khamoshiyaan hon...
Adhjali adhbujhi mombattiyaan hon
Lau thartharaye...
Toh kisi ko khabar na ho..
Kal yahaan kiske sapnon mein kaun aaya tha...
Kal ki taweer mein sab kuchh ho
Bus kal na ho...

Tuesday, August 17, 2010

TV

TV
Bahut achchha medium hai.
Television.
Aap kamaa sakte hain...
Agar ganvaa sakte hain.
Bech sakte hain
Agar bik sakte hain...
----
Yahaan kisi ke pita ki maut ho jaaye..
Toh bhi hukm itna hi milta hai.
Apne hisse ka “Kynki Saas Bhi Kabhi Bahoo Thi”
Kisi ko saunp kar jaao...
Aap rote hain ..
Aur mail type karte hain.
Flight se pahle ke 3 ghanton mein.....
Aap ko apni har duty delegate karni hoti hai.
Kyonki “chita” rook saktee hai.
“Kyonki” thode hi rook sakta hai.
...
Zara,
Tum bhuli toh nahin na vo din?
Kyonki vo tumhare pita the aur
Main mook darshak...
Main tab TV mein naya naya hi aaya tha.
....
Bahut achchha medim hai.
TV
...
Hey Avinash...
Tumhein yaad hai...
Tum apni boss ke kamre se bahar aaye the.
Daant kha kar...
Aur tumhra “statue” ho gaya tha.
You were ”smiling” the whole day.
(smile on a face can be scary, you know.)
Tum aaj ho kahaan pata nahin..
Par hum sab scared the....
Kyonki tumhari smile kah rahi thi.
You have lost it.
.....
Tum aage badhna chahte the.
Ve star plus ke achchhe din the.
Tum us din sirf muskarate baithe the apni desk par..
Par koi nahin tha jo tumhein rula sake.
.......
Kyonki agar vo mudkar tumhein dekhte..
Toh shayad jaag jaate...
Phir vo aage kaise badhte ..
Agar kisi se sympathy mehsoos karte...
......
We Kyunki ke utarate din the shayad..
....
Pata hai avinash tumhein
Jisne tumhein depression mein dhakela tha.
Usne shayad bahut kamaya hoga...
Lekin ve aaj TV mein bhi nahin hai.
Nice way to say...
“She has taken a sabbatical.”
.....
Zara, Avi..
Tumhien pata hai..
Itihaas ke panno par
Na tum ho
Na hum hain.
Na vo hain.
.......
Aur haan unki jagahh..
Just imagine...
Koi aur hai...
...
Marna hi hai...
Toh TV se behtar
Sadak kya buri hai?
Episode likhne ki dead line se
Railway line par death
Kya buri hai?
....